MY BEAUTIFUL WORLD...

My photo
India
ιαм ѕιмρℓє,ηι¢є,∂є¢єηт αη∂ ∂ιgηιƒιє∂ gιяℓ.....♥

Saturday, January 29, 2011

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega....




Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Log so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega....

No comments:

Post a Comment