MY BEAUTIFUL WORLD...

My photo
India
ιαм ѕιмρℓє,ηι¢є,∂є¢єηт αη∂ ∂ιgηιƒιє∂ gιяℓ.....♥

Wednesday, November 10, 2010





Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib
Nahin milta to guzra hoa pal nahin milta

Kartey rahe’n ge younhi sairab zameene’n
In aansoo’n ko ab koi aanchal nahin milta

Ghurbat mein mayyasar kahan khushion ki dilbari
Sehra mein kisi ko kabhi baadal nahin milta

Kahney ko gham khowar-o-chara saaz hain bohat
Amlann kisi ke saath koi shamil nahin milta

Ham imaan ki dolat liye shahadat ke muntazir
Hamari safo’n mein koi buzdil nahin milta.....

Bachpan Ka Zamana Hota Tha.....


Bachpan Ka Zamana Hota Tha,
Khushio.N Ka Khazana Hota Tha.

Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.

Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.

Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.

Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.

Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.

Pedho Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.

Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.

Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.

Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Har Rishta Nibhana Hota Tha...

Aaj kajal jo lagaya to bohut yaad aaya.......


aj khoya hua ik dost bohat yaad hai
acha guzra hua waqt bohat yad aya

meri aankh k her ansu pe rone wala
aj jab aankh yeh roi to bohat yaad aya

jo mere dard ko seene mein chupa lera tha
aj jab dard hua mujhe to bohat yaad aya

jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
aj kajal jo lagaya to bohat yaad aya

jo mere dil tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil ne bulaya to bohat yaad aya..... 

Merey sabar ka na ley Imtehaan......



Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey

Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gaye
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey

Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey....