
Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Abhi kuch dair baqi hai…!!
Khizan k beet janay main,
Guloun k Muskuranay main,
Khushi k geet ganay mein,
Baharon k zamanay main,
Abhi kuch dair baqi hai..!
Main tum ko bhool jaonga..!
Na tum ko Yaad aaonga..!
Main tum se dour reh k bhi,
Tumhain jee ker dikhaonga..!
Tumhain maloom hay laikin,
Yeh sub main kar na paaonga,
K tum ko bhool janay main,
Abhi kuch dair baqi hay..!
Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna,
ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna,
ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina,
ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain
Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna,
ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain
Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna,
ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain...!
Kabhi aajao tum pal bhar ko,
Mujhe tum se batien krni hain,
Kuch ghum k geet sunanay hain,
Kuch raaz hain jo batlanay hain,
Kuch dil ko b batlana hai,
Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain,
Kuch dil se yaadain dhoni hain,
Kuch naatay nai bnanay hain,
Jo sher likhay hain teri furqat mein,
Kuch sher tumhe wo sunanay hain,
Kuch dard sunanay hain dil k,
Kuch piyar ki batien krni hain,
Kabhi aajao tum pal bhar ko,..!
mein kuch b nahin hoon tere liye
kuch tere liye mein ho jaon
tere dil men rahoon ankhon mein basoon
dharkan men shamil ho jaon
to jab koi baat kare
mera naam b us meia shamil ho
to jab b mange kuch rab se
meri zaat b us men shamil ho
har bar nahin ik baar sahi
ik bar to aisa ho jae
ik pal k liya ae jan-e-wafa
tujhe mujh se mohabbat ho jae
AY KAASH K AISA HO JAE
AY KAASH K AISA HO JAE...!
jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha,
Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha,
aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat,
roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat,
kon c main nay thee us say khudaii mangi,
jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi,
mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila,
hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila...!
Har roz dekhti hu tumhe naino ke jharokhon se,
Har roz iss dil ko tum naye hi nazar aate ho..
Kya bat hai tere husn mein samjhaye koi mujhe,
Kyu har baar aur bekarar mujhe kar jaate ho..
Kehna chahte hai kitni batein tumse dil ki apne,
Par tum toh nigahen milane se bhi katrate ho..
Dekha hai tumhe chupke chupke mujhe dekhte hue,
Phir pas aane se mere kyu ghabraate ho..
Aise na karo, izhaar-e-dil mushkil hua jaata hai,
Kyu dil ki mere uljhano ko tum badhate ho..
Jo baat tere dil mein hai, wahi hai bat idhar bhi,
Keh bhi do usse, kyu dil ko itna tadpate ho..
Lab khamosh hain khamosh sahi, parwah kisko hai,
Nigahon se kaho kab mujhe haal-e-dil sunate ho....!
“Kahun K Kia Ho Tum….?”
Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,
Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,
Mere Nazar ki Talash ho Tum,
Mere Zindagi ka Qarar ho Tum,
Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,
Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,
Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Mere JAAN ho Tum...!
Mosam-e-hijr k lamhat koi kiya janay,
Kya guzarti hai meray sath ko kiya janay,
Doriyon me bhi tere sath marasim hen woi,
Roz hoti hai mulaqat koi kiya janay,
Log hansti hui ankhon pe yaqeen rakhtay hain,
Mere ansuu mere jazbat koi kiya janay,
Ek tu hai jisay malum hen sari batain,
Shab-e-hijran mere halat koi kiya janay,
Koi kiya janay k khamoshiyan kia kehti hain,
Aay ~pardesi~ teri ankhon k sawalat koi kiya janay...!
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay,
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha,
Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi,
Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel se tha,
Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha,
Masla asal to paigham ki tarseel mein tha,
Is naye nuskhe mein takhreef hui hai warna,
Zikr mera bhi kahin pyar ki injeel mein tha...!
Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga,
Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga,
Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj,
Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga,
Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay,
Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga,
Uski galyon mein hamay koi nahi pehchanay ga,
Koi tana koi dashman nahi ay ga,
Dil k darwazay per dastak nahi de ga,
Koi nama koi paigham nahi ay ga,
Umr bhar matam mein shehr-e-tamana ho ga,
Neend to ay gi aram nahi ay ga,
Magar ae bad-e-saba us se ja kr kehna,
Is kahani mein abkoi nam nahi ay ga...!
Mujay awaz de laina
Kabi jab ankh chalke to
Kabi jab dil na sambhle to
Mujay awaz de laina
Kabi jab dur ho koi
Bohat majbur ho koi
Koi awaz na day to
Mujay awaz de laina
Koi ansu na ponche to
Koi hansnay se roke to
Koi tum ko sataye to
Mujay awaz de laina
Kabi jab din na guzray to
Kabi jab raat tarpaye
Kabi din mei andhera ho
Mujay awaz de laina
Main tere passhota hon
Main teresath rehta hun
Mgr phir bhi guzarish hai
Mujay awaz day laina...!
meri hasrat k janazy ko uthany waly,
kitny bedard hain yeh loag zamany waly,
koi apna nahi matlab ki hai yeh dunya sari,
ab kahan milty hain woh yar purany waly,
main dua go hon sada nendain mubarik tum ko,
hijar ka dard dy k muj ko jagany waly,
bus yeh he soch kar har bar manata hon usy,
loat k aaty hain kahan rooth k jany waly,
un k dil main kabhi jhank ker dekho to sahi Saqi,
kitny afsurda hain auron ko hansany waly..!
Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din
Lagta nahi tha us ka dil mere bin
Dosto se kaha karta tha wo b,
Kiya ye b ji sakta hai mere bin
Mazaq ban jaya karta tha jo Doston mein
khud ko tanha samjta tha wo mere bin
Isse hade diwangi kahoon ya pagalpan
tasawar me wo batein kiya karta tha mere bin
Wo mosmoon k badlny se darta nahi tha lekin
bahar mein murjhaya karta tha mere bin
Ab As tot gain uske aani ki
Lagta hai Jina sekh chuka hai mere bin...!
Phele mai or tum the ab hum ho gaye
wo mere zakhmo ka marham ho gaye..
jab se unse meri shana sayi howi
wo mera sarmaya ghum ho gaye
wo sar-e-gulshan sanwer kar agaya
or sab hi pholo ke sar kham(open) ho gaye
dekhiye matlab mera kuch or tha
ap to ase hi bharam ho gaye
ishaq main pher koi uljhan na rahi
mashware jab unse baham ho gaye
jab ayadat ke lye wo agya
dard-e-dil ke nisbatan kam ho gaye…!
Tairi judae mai hoe jo halat to daikho
Raton ko nend na ae kuch to socho
Jab say gae ho dur hum sy
Yaad utna he aty ho kasam sy
Nahin ata aghar yaqeen is baat ka to
Khwabon mai taire yaadon ke shidat to daiko
Janty hain pyar mai hoty hain imtaihan bhot
Tairy intaizar ke hai jo tarap to daikho
Je rahy hain tum bin hum kis tarhan
Ankhoon sy beh rahy ansoon to daikho
Janty hain nhi hoga yaqeen jab btaen gay hal-e-dil apna
Har dharkan pay likha hai taira he naam
Seeny sy dil nikal kar to daikho
Mil jae gy ek din hum kuch is tarhan
Khuda nai likha jo mukadar to daikho…!